Monday, 19 March 2012

NA MANJIL KA PATA HAI NA RASTE KA....

Jane kaha aaj fir me chal pada hu,
Na manjil ka pata hai na raste ka,
Socha humsafar milenga koi raah me lekin,
Na humsafar ka pata hai na khud ka.....


Zindgi to ab gumsum lagne lagi hai,
Na jine ka dil hai karta hai aur na marne ka,
Jane kaha aaj fir me chal pada hu,
Na manjil ka pata hai na raste ka.....


Raah me chalte khayal aaya kyu na aaram kar ku,
Par na sone ka thikana hai aur na neend ka,
Jane kaha aaj fir me chal pada hu,
Na manjil ka pata hai na raste ka.....


 Zindgi ki khoj me jane kaha ja raha hu,
Na zindgi ka thikana hai na jeene ka,
Jane kaha aaj fir me chal pada hu,
Na manjil ka pata hai na raste ka.....


Jane kyu me tanhai me zindgi jiye ja raha hu,
Na koi chain ka pata hai na koi raahi ka,
Jane kaha aaj fir me chal pada hu,
Na manjil ka pata hai na raste ka.....


Written By: Rakesh Parihar(Rex's) 
                   On 19-03-2012                      12:45AM











Sunday, 18 March 2012

Aisa humrahi dhundh raha hu...

Zindgi ke safar me ek humsafar dund raha hu,
Koi de sath umrbhar ka aisa humrahi dhundh  raha hu...

Tanhaiyon ke es manjar me apna vajood dhundh raha hu,
Teri palko ki oat me aapna aasiyana dhundh raha hu,
Teri ruh me sama jane ka jariya dhundh raha hu,
Aur tere dil me rahne ki jagah dhundh raha hu,
Zindgi ke safar me ek humsafar dund raha hu,
Koi de sath umrbhar ka aisa humrahi dhundh  raha hu...


Gum ke es andhere me roshni dhundh raha hu,
Tere surkh hotho ke liye nammi dhundh raha hu,
Dil me chupe kimati jajbaat dhundh raha hu,
Es veeran shahar me apna shamiyana dhundh raha hu,

Zindgi ke safar me ek humsafar dund raha hu,
Koi de sath umrbhar ka aisa humrahi dhundh  raha hu...



na jaana chor ke muje kisi aur ke pass,
Me to sirf tere liye hasin pal dhundh raha hu,
Teri har ummidon ko pura karne ka jariya dhundh raha hu,
Apni kashish ke liye ek hamraj dhundh raha hu,

Zindgi ke safar me ek humsafar dund raha hu,
Koi de sath umrbhar ka aisa humrahi dhundh  raha hu...


Written By: Rakesh Parihar(Rex's) "DARBAR"
      01-12-11                     01:15AM

Saturday, 17 March 2012

TERE AAGOSH ME DUBNE AAYA HU…


TERE AAGOSH ME DUBNE AAYA HU…

Khamosh labon ko aaj haqikat me badalne aaya hu,
Teri aarzu ke samandar me utarne aaya hu,
Tanha tha aaj tak me, tanha tha aaj tak me,
Par aaj tere aagosh me dubne aaya hu……….

Kapkapate hoton se kuch alfaz sunane aaya hu,
Tere dar pe me tere didar ko aaya hu,
Na karna inkaar mujko panaah dene se tu,
Tere chehre pe hasi loutane aaya hu,
Tanha tha aaj tak me, tanha tha aaj tak me,
Par aaj tere aagosh me dubne aaya hu……….

Sharbati aankho se kuch jam pine aaya hu,
Tere mahkhane me kuch hasin pal bitane aaya hu,
Dard-e-tanhai ka zikr tujse karne aaya hu,
Tere aankho ki name ko sukhane aaya hu,
Tanha tha aaj tak me, tanha tha aaj tak me,
Par aaj tere aagosh me dubne aaya hu……….

Writter: Rakesh parihar (rex's) "DARBAR"
              16-03-2012